Aakhir khushi mil gayi
Muskilon ka ek safar tha
Har roj gujre hans ke hum
Hoslon ne rah na chodi
Chalte rahe hum har kadam
Jeevan mai tufa sa chala tha
Koi na sath mai khada tha
Bas khud se li sapath thi
Mann bhi ye jiddi bada tha
Fir rab ka hua raham yu
Dur kar gaya sare gam
Bhej kr wo prem apna
Ankhein kar gaya khushi se nam
Ban gayi wo ek kahani
Batein jo jheli thi purani
Aaj khushi mai jee rahe hain
Ye badi he hain suhani.
Discover more from ZorbaBooks
Subscribe to get the latest posts sent to your email.