Bhatke kadam rahon se
Khabar nahi thi us rah ki
Jis par hum chal pade thy ghar se
Socha na kuch samajh na aaya
Gumsum rahe the sabke Darr sy
Nadani Mai liye fasle
Chuda gaye sab rishton ko
Aaj saja ushki kha rahe
Chuka rahe hain kishton ko
Bure daur sy jab gujare to
Yaad purani humko aayi
Mudkar wapas ja na sake
Thokar humne aisi khayi
Rahon p chalte chalte
Kya humne tha pa liya
Bhatke kadam rahon se thy
Aaj samajh mai aa gaya….
Discover more from ZorbaBooks
Subscribe to get the latest posts sent to your email.