Jo main hu woh tum nahin ho - ZorbaBooks

Jo main hu woh tum nahin ho

Jo main hu woh tum nahin ho,
Jo tum ho woh main nahin hu,
Jo yeh haalatein hain humare woh humeh se nahin hain,
Jo huya so huya so bhul ja,
Kiya tha, kiya lootgaya, kiya hain aur kiya hoga aageh tu bus chalte chala ja,
Raahein mein tere aaegi kahi mushkilein,
Mausam-e-Baahar laayegi khushiya Gham-e-firaq tera phir humeh rulayaga,
So kiya huwa hadasa agar hadsoein ka wabal waha bhi toh hain,
Kiya lutf Is jaam mein dhoob jane ka,
Sabhi ke naseeb mein jo mila so mila,
Tamam Insano ki Taqdeer ka hain yehi aakhri faisla,
Ki ek din Uthegi sabhi ke kasthiyan samandar se toh apne saahil se hi milne ko,
Mitjayaga saara jahaan kiya reha payaga yeha Zameen-o-Aasman,
Maidan-e-Hashar mein Jismo ki boli lagayai jayagi,
Kasmakas mein hogi sabhi ki zindagi Janaat mile ya Dozakh mile waiz ku yeh kisku hain khabar,
Khulega raaz toh raazdaan-e-Aarzoo kaun bakhi rehaga,
Sar pe raha tha saaya jinka woh saayadaar ab kaun banega,
Umar-bhar saat nibhane wale, saat nibhate-nibhate humko besahara karke guzar gaya,
Mere Neki-o-Badkari ka hisaab kaun lega,
Main tujhme raahonga zinda humesha,
Ab tu mujhse yeh waada kar kiya tu mujhme reha payagi fanah?………………..

Jo main hu woh tum nahin ho,
Jo tum ho woh main nahin hu,
Jo yeh haalatein hain humare woh humeh se nahin hain,
Jo huya so huya so bhul ja,
Kiya tha, kiya lootgaya, kiya hain aur kiya hoga aageh tu bus chalte chala ja…………………….


Discover more from ZorbaBooks

Subscribe to get the latest posts sent to your email.

Comments are closed.

Mohammed Zahoor Khan