Khuda se guzarish
Ae khuda tu muje vo kyu nahi deta jo mai chahta hu,
ek baar soch mere baare me,
jisse pyaar krta hu mai;mai usse kitna pyaar jatata hu,
pyaar ki taqleefe smjh meri; mai usse har saans me paata hu,
meri waafao ka imtihaan mat le ab;mai na chahkar bhi use apnata hu
Jo baate na kehne ki ho;vo bhi keh jaata hu
Har samay sirf uska chehra nazar aata hai;shayad ab khud me bhi mai usko pata hu
Dard smjh ja meri, ek khwaish bas Puri krde meri;fir kya pata kis janm mai usse mil pata hu