Koi hona bhi toh chahiye
Kisse guzarish karu mai apni shikayat
Koi sunne wala hona bhi to chahiye
Kisse choti choti baato par ruthu ab
Koi manane wala hona bhi to chahiye
Bhot khoob kaha hai kisi ne…
Kisi ke saath zindagi guzarni hai
Toh koi teherne wala hona bhi to chahiye
Kisi ke saath samay bitana hai
Toh koi samay nikalne wala hona bhi toh chahiye
Kaise kisi se dil laga baithu mai
Koi dil behlane wala hona bhi toh chahiye
Kaise kisi ke saath puri zindagi bita du mai
Koi fere lagane wala hona bhi to chahiye
Kyu kisi se apne pyaar ka izhaar kru mai
Koi mohobbat krne wala hona bhi to chahiye
Kyu sukhe huye gulaab kitaabo me rakhu mai
Koi gulaab ki ehmiyat janne wala hona bhi to chahiye
Kaise mai kisi ko apni taqleef batau
Koi samjhne wala hona bhi toh chahiye
Aakhir kaar kaise kisi se inteha ishq karu
Koi khud ko khud se bhatkane wala hona bhi to chahiye