Grah, Nakshatra aur Ganit jyotish...ek abhyantrik ki nazar se… - ZorbaBooks
Jyotish vidya

Grah, Nakshatra aur Ganit jyotish…ek abhyantrik ki nazar se…

by Swargiya Bhagwan Sahaya

359.00

E-Book Price ₹99 / $2.99

ISBN 978-93-86407-19-1
Languages Hindi
Pages 258
Cover Paperback
E-Book Available

Description

गृह,नक्षत्र और गणित ज्योतिष a book on Jyotish Vidya in Hindi

Jyotish, Vedon jitni hi praacheen vidyaa hai jiska upyog sadiyon se Grah, Nakshatra aur anya Khagoliya Pindon ke adhyayan ke liye kiyaa jaataa rahaa hai. Moolatah jyotish vidyaa ka adhyayan 2 tareekon se kiyaa jaataa hai: Ganit Jyoish aur Falit Jyotish
Yah pustak moolatah Ganit Jyotish pe aadhaarit hai jisko ek Abhyaantrik (Engineer) ki nazar se pesh karne ki koshish ki gayi hai. Is pustak ke lekhak Swargiya Bhagwan Sahaya ne Vidut Abhyaantriki (Electrical Engineering) se apni Anshaankan (Graduation) poori ki. Saath hi apne vidyaalay ki shikshaa ke dauraan unkaa Sanskrit aur Ganit ki taraf kaafi roojhaan thha; falatah aaage chalke Jyotish, khaaskar Ganit Jyotish, unki abhiruchi ban gayi aur yah pustak unhi ke shodh ka nateejaa hai.
Is Jyotish vidya Hindi ki pustak mein vibhinn prakaar ki veedheeyon ke baare me vistaar se bataayaa gayaa hai, jaise, Kundali banaane aur milaane ki veedhi, Grahon ki jaankaari, Pratyek raajya ki samay-shaarini, Var Kanya ke gun milaane ki jaankaari, Shagun Apshagun vichaar, Ratnon ki jaankaari, Jadibootiyon ki jaankaari, Santaan vichaar, Roop-Rang vichaar, ityaadi ityaadi….
Aaj jab Jyotish ke vibhinn vishayon pe aalag alag dheron kitaabein uplabdh hain, is ek pustak me adhik se adhik jaankaari ikatthhi karne ki koshish ki gay hai. Ummed hai ye pustak Jyotish vidya ke anuyaapiyon le liye kaafi laabhdaayak rahegi!

Hindi Astrology book with mathematical approach. One-stop book where you can find solutions to multiple processes like preparation of horoscope, matching of horoscope, information about planets, time-tables, match-making for marriages, information about stones, information about herbs and much more……an engineer’s take on Astrology!…..”

About the Author

Swargiya Bhagwan Sahaya ka janm, 13 February 1947 me, Bihar ke ek chhote shahar “Darbhanga” me hua. Thode samay baad apne Pitaa aur baaki parivaar waalon ke saath wo Bihar ke hi ek aur shahar “Muzaffarpur” me bas gaye jahaan unhone apni Vidyut Abhyantriki tak ki shikshaa poori ki. Abhyantriki poori karne ke baad unki Vyavyasaayik jeevan ki shuruwaat hui jab wo Bihar Bijlee Vibhaag se joode, jahaan unhone aajeevan apnaa yogdaan diyaa.

Aage chalke phir unhone Grihasth Jeevan me pravesh kiyaa jahaan shaadi ke baad unhe 2 santaanon ki praapti hui. Isi dauraan jab sann 1992 me kaam ke silsile me unkaa tabaadlaa hua to kaafi waqt unhe akele parivaar se door guzaarnaa padtaa thhaa aur yahin se unki aur is pustak ke saajhedaari ki shuruwaat hui.

Jyotish Vidya, khaaskar Ganit Jyotish pe unhone anusandhaan karnaa shuru kiyaa, aur apni ek Diary me likhnaa shuru kiyaa. Shuruwaat se hi unki likhaawat ke peechhe doosron ki madad karne ka iraadaa kaafi saaf thhaa. Falswaroop unhone Diary ko ek aagaami pustak ki tarah bharnaa shuru kiyaa aur ye silsilaa lagbhag sann 1999-2000 tak chalaa.

1999-2000 se wo kaafi beemar rahne lage aur 11 July 2002 ko unkaa nidhan ho gayaa. Unke adhoore kaam ko unki Patni Shreemati Sheela Lata Sahaya ne sahi mukaam tak pahuchaane ki zimmedaari utthhayi aur unki lagaataar 15 saal ki mehnat ka natizaa hai jo yah pustak aaj aapke haathon me hai.

Reviews

There are no reviews yet.

Be the first to review “Grah, Nakshatra aur Ganit jyotish…ek abhyantrik ki nazar se…”

Your email address will not be published. Required fields are marked *

*

Also Available on:

Flipkart Amazon Shopclues Snapdeal